aaya tha dil mein wasl ki tadbir ka KHayal
aaya tha dil mein wasl ki tadbir ka KHayal
Tameezuddin Tameez Dehlvi
MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi
aayā thā dil meñ vasl kī tadbīr kā ḳhayāl
ulTā magar thā kātib-e-taqdīr kā ḳhayāl
jis ko ho us kī zulf-e-girah-gīr kā ḳhayāl
ḳhātir meñ kyā vo lā.egā zanjīr kā ḳhayāl
ham 'āshiqoñ ko nāla-o-shevan se kyā ġharaz
apnā to kaam hai tirī tauqīr kā ḳhayāl
aisā lagā ki jaise hoñ paanī pe kuchh nuqūsh
aayā mujhe jo aap kī tahrīr kā ḳhayāl
shauq-e-sitam meñ bhuul gayā vo har ek shai
tarkash kā hai na tiir na naḳhchīr kā ḳhayāl
māyūsiyoñ ne gher liyā jis marīz ko
us kī nazar meñ hech hai iksīr kā ḳhayāl
kyā kyā na vasvasoñ ne Darāyā tamām raat
aayā mujhe jo ḳhvāb kī tā'bīr kā ḳhayāl
sohān-e-rūh us kā taġhāful huā kare
har jān-e-jāñ hai us but-e-be-pīr kā ḳhayāl
chāhā thā jis ko ham ne parastish kī had talak
us kī nazar meñ ab bhī hai tā'zīr kā ḳhayāl
fikr-e-suḳhan karūñ huuñ maiñ jab bhī kabhī 'tamīz'
hotā hai ās-pās mire 'mīr' kā ḳhayāl
aaya tha dil mein wasl ki tadbir ka KHayal
ulTa magar tha katib-e-taqdir ka KHayal
jis ko ho us ki zulf-e-girah-gir ka KHayal
KHatir mein kya wo laega zanjir ka KHayal
hum 'ashiqon ko nala-o-shewan se kya gharaz
apna to kaam hai teri tauqir ka KHayal
aisa laga ki jaise hon pani pe kuchh nuqush
aaya mujhe jo aap ki tahrir ka KHayal
shauq-e-sitam mein bhul gaya wo har ek shai
tarkash ka hai na tir na naKHchir ka KHayal
mayusiyon ne gher liya jis mariz ko
us ki nazar mein hech hai iksir ka KHayal
kya kya na waswason ne Daraya tamam raat
aaya mujhe jo KHwab ki ta'bir ka KHayal
sohan-e-ruh us ka taghaful hua kare
har jaan-e-jaan hai us but-e-be-pir ka KHayal
chaha tha jis ko hum ne parastish ki had talak
us ki nazar mein ab bhi hai ta'zir ka KHayal
fikr-e-suKHan karun hun main jab bhi kabhi 'tamiz'
hota hai aas-pas mere 'mir' ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.