aaya ufuq ki sej tak aa kar palaT gaya
Interesting Fact
Dedicated to Shakeb Jalali
aayā ufuq kī sej tak aa kar palaT gayā
lekin urūs-e-shab kā vo ghuñghaT ulaT gayā
dil meñ basī haiñ kitnī tire ba.ad bastiyāñ
dariyā thā ḳhushk ho ke jazīroñ meñ baT gayā
ik shaḳhs lauTte hue kal tere shahr se
ro ro ke apne naqsh-e-qadam se lipaT gayā
maiñ chal rahā huuñ ḳhol badan kā utaar kar
ab mere rāste kā ye patthar bhī haT gayā
phailī raheñgī jholiyāñ palkoñ kī kab talak
aayā thā jo umaD ke vo bādal to chhaT gayā
dasht-e-nazar se itne bagūle uThe 'rashīd'
ik muskurāte chāñd kā chehra bhī aT gayā
aaya ufuq ki sej tak aa kar palaT gaya
lekin urus-e-shab ka wo ghunghaT ulaT gaya
dil mein basi hain kitni tere baad bastiyan
dariya tha KHushk ho ke jaziron mein baT gaya
ek shaKHs lauTte hue kal tere shahr se
ro ro ke apne naqsh-e-qadam se lipaT gaya
main chal raha hun KHol badan ka utar kar
ab mere raste ka ye patthar bhi haT gaya
phaili rahengi jholiyan palkon ki kab talak
aaya tha jo umaD ke wo baadal to chhaT gaya
dasht-e-nazar se itne bagule uThe 'rashid'
ek muskuraate chand ka chehra bhi aT gaya
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 60)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.