aaya wo ru-baru ki meri aankh khul gai
aayā vo rū-barū ki mirī aañkh khul ga.ī
afsos aarzū ki mirī aañkh khul ga.ī
sad-shukr mere paañv kā chakkar huā tamām
phirtā thā kū-ba-kū ki mirī aañkh khul ga.ī
maiñ tishna-lab rahā lab-e-dariyā bhī tishna-lab
pahuñchā kinār-e-jū ki mirī aañkh khul ga.ī
ubhrā huuñ raat bahr-e-tarannum meñ Duub kar
bolā vo ḳhush-gulū ki mirī aañkh khul ga.ī
nā-āshnā-e-faiz-e-bahārāñ hī maiñ rahā
uTThī guloñ se bū ki mirī aañkh khul ga.ī
mujh tishna-lab kī tishna-labī kā kamāl dekh
hāthoñ meñ thā subū ki mirī aañkh khul ga.ī
mumkin nahīñ ki vaqt-e-sahar aañkh lag sake
dekhā vo ḳhūb-rū ki mirī aañkh khul ga.ī
dushman kā pichhlī raat sitāra thā auj par
thā mere rū-barū ki mirī aañkh khul ga.ī
marg-e-'amar' kī baat ġhalat thī ḳhudā kā shukr
sunñā thī hāo-hū ki mirī aañkh khul ga.ī
aaya wo ru-baru ki meri aankh khul gai
afsos aarzu ki meri aankh khul gai
sad-shukr mere panw ka chakkar hua tamam
phirta tha ku-ba-ku ki meri aankh khul gai
main tishna-lab raha lab-e-dariya bhi tishna-lab
pahuncha kinar-e-ju ki meri aankh khul gai
ubhra hun raat bahr-e-tarannum mein Dub kar
bola wo KHush-gulu ki meri aankh khul gai
na-ashna-e-faiz-e-bahaaran hi main raha
uTThi gulon se bu ki meri aankh khul gai
mujh tishna-lab ki tishna-labi ka kamal dekh
hathon mein tha subu ki meri aankh khul gai
mumkin nahin ki waqt-e-sahar aankh lag sake
dekha wo KHub-ru ki meri aankh khul gai
dushman ka pichhli raat sitara tha auj par
tha mere ru-baru ki meri aankh khul gai
marg-e-'amar' ki baat ghalat thi KHuda ka shukr
sunna thi hao-hu ki meri aankh khul gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.