aayat hijr ki bayan tafsir ki nahin
āyāt hijr kī bayāñ tafsīr kī nahīñ
dil par guzartī jo bhī vo tahrīr kī nahīñ
koī to bhed hogā ḳhamoshī ke ās-pās
jaltī huī nigāh ne taqrīr kī nahīñ
dastak tire jamāl ne jab bhī zehn pe dī
uTh kar gale lagā liyā tāḳhīr kī nahīñ
tujh ko rakhā sañbhāl ke putlī ke darmiyāñ
ojhal kabhī nigāh se tasvīr kī nahīñ
maiñ to tumhārī qaid meñ jiitā huuñ rāt-din
Dhīlī kabhī ḳhayāl ne zanjīr kī nahīñ
dil meñ rakhā tujhe jo to puujā hai apnā aap
phir maiñ ne apnī zaat kī tahqīr kī nahīñ
terī jafā kī baḳhshī nishānī sañbhāl lī
miTte hue vajūd kī ta.amīr kī nahīñ
dekhā jo puurā ḳhvāb adhūrā hī rah gayā
maiñ ne bhī phir ayaañ kabhī ta.abīr kī nahīñ
vāhid vajūd tere se raushan hai merā dil
tujh bin kisī ko chāhūñ ye taqsīr kī nahīñ
aayat hijr ki bayan tafsir ki nahin
dil par guzarti jo bhi wo tahrir ki nahin
koi to bhed hoga KHamoshi ke aas-pas
jalti hui nigah ne taqrir ki nahin
dastak tere jamal ne jab bhi zehn pe di
uTh kar gale laga liya taKHir ki nahin
tujh ko rakha sanbhaal ke putli ke darmiyan
ojhal kabhi nigah se taswir ki nahin
main to tumhaari qaid mein jita hun raat-din
Dhili kabhi KHayal ne zanjir ki nahin
dil mein rakha tujhe jo to puja hai apna aap
phir main ne apni zat ki tahqir ki nahin
teri jafa ki baKHshi nishani sanbhaal li
miTte hue wajud ki tamir ki nahin
dekha jo pura KHwab adhura hi rah gaya
main ne bhi phir ayan kabhi tabir ki nahin
wahid wajud tere se raushan hai mera dil
tujh bin kisi ko chahun ye taqsir ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.