aazad jahan se ho gae hain
āzād jahāñ se ho ga.e haiñ
zebā.ī meñ us kī kho ga.e haiñ
phir rah na sake sabā ke chalte
phir gul kī baas ko ga.e haiñ
ab silsila dekhnā numū kā
ham baaġh meñ ashk bo ga.e haiñ
aane vāloñ se kyā batā.eñ
the kitne aziiz jo ga.e haiñ
chāheñ bhī to bazm meñ na ro paa.eñ
tanhā.ī meñ itnā ro ga.e haiñ
bas ham rahe nisbatoñ meñ gaḌ kar
āzād the log so ga.e haiñ
us gul ke nafas ki the nasīmī
pattoñ se ġhubār dho ga.e haiñ
aazad jahan se ho gae hain
zebai mein us ki kho gae hain
phir rah na sake saba ke chalte
phir gul ki bas ko gae hain
ab silsila dekhna numu ka
hum bagh mein ashk bo gae hain
aane walon se kya bataen
the kitne aziz jo gae hain
chahen bhi to bazm mein na ro paen
tanhai mein itna ro gae hain
bas hum rahe nisbaton mein gaD kar
aazad the log so gae hain
us gul ke nafas ki the nasimi
patton se ghubar dho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.