Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazad us se hain ki bayaban hi kyun na ho

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

aazad us se hain ki bayaban hi kyun na ho

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    āzād us se haiñ ki bayābāñ kyuuñ na ho

    phāḌeñge jeb gosha-e-zindāñ kyuuñ na ho

    ho shuġhl koī ke bahalne ke vāste

    rāhat-fazā hai naala o fuġhāñ kyuuñ na ho

    saudā-e-zulf-e-yār se baaz ā.eñge na ham

    majmū-e-havās pareshāñ kyuuñ na ho

    ehsān-e-tīr-e-yār adā ho sakegā kyā

    jaan apnī nazr-e-lazzat-e-paikāñ kyuuñ na ho

    jiite raheñge vāda-e-sabr-āzmā pe ham

    umr apnī misl-e-vaqt-e-gurezāñ kyuuñ na ho

    'vahshat' rukeñ na haath sar-e-hashr dekhnā

    us fitna-ḳhū gosha-e-dāmāñ kyuuñ na ho

    aazad us se hain ki bayaban hi kyun na ho

    phaDenge jeb gosha-e-zindan hi kyun na ho

    ho shughl koi ji ke bahalne ke waste

    rahat-faza hai nala o fughan hi kyun na ho

    sauda-e-zulf-e-yar se baz aaenge na hum

    majmu-e-hawas pareshan hi kyun na ho

    ehsan-e-tir-e-yar ada ho sakega kya

    jaan apni nazr-e-lazzat-e-paikan hi kyun na ho

    jite rahenge wada-e-sabr-azma pe hum

    umr apni misl-e-waqt-e-gurezan hi kyun na ho

    'wahshat' ruken na hath sar-e-hashr dekhna

    us fitna-KHu ka gosha-e-daman hi kyun na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now