aazar hi ab koi makanon pe girega
āzār hī ab koī makānoñ pe giregā
lagtā hai ki ye baar bhī shānoñ pe giregā
is baar koī tiir kamānoñ meñ nahīñ hai
is baar magar jism nishānoñ pe giregā
ik chīḳh se gūñjeñgī ka.ī aur bhī sadiyāñ
āvāz kā patthar hai zamānoñ pe giregā
sab dekhte rah jā.eñge ye tīr-ba-kaf log
jab jā ke parinda ye chaTānoñ pe giregā
ik shaḳhs jo ḳhvāboñ meñ bhī saa.e kī tarah hai
kab harf-e-yaqīñ ban ke gumānoñ pe giregā
ham ḳhema-e-ashjār se guzreñge bahar-kaif
ġham sūrat-e-barfāb machānoñ pe giregā
jab tak ki takallum meñ nahīñ tāqat-e-guftār
kyā harf-e-talab koī zabānoñ pe giregā
ḳhvāh auj-e-falak tak hī chalā jaa.e ye sūraj
thak kar isī dhartī ke dahānoñ pe giregā
tum phuul barasne kī 'kafīl' aas to rakhnā
kyā sang sadā ā.īna-ḳhānoñ pe giregā
aazar hi ab koi makanon pe girega
lagta hai ki ye bar bhi shanon pe girega
is bar koi tir kamanon mein nahin hai
is bar magar jism nishanon pe girega
ek chiKH se gunjengi kai aur bhi sadiyan
aawaz ka patthar hai zamanon pe girega
sab dekhte rah jaenge ye tir-ba-kaf log
jab ja ke parinda ye chaTanon pe girega
ek shaKHs jo KHwabon mein bhi sae ki tarah hai
kab harf-e-yaqin ban ke gumanon pe girega
hum KHema-e-ashjar se guzrenge bahar-kaif
gham surat-e-barfab machanon pe girega
jab tak ki takallum mein nahin taqat-e-guftar
kya harf-e-talab koi zabanon pe girega
KHwah auj-e-falak tak hi chala jae ye suraj
thak kar isi dharti ke dahanon pe girega
tum phul barasne ki 'kafil' aas to rakhna
kya sang sada aaina-KHanon pe girega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.