aazmaish imtihan isar tak jaana paDa
āzmā.ish imtihāñ īsār tak jaanā paḌā
jāñ-nisārī ko razā-e-yār tak jaanā paḌā
zindagānī kī hadoñ ke paar tak jaanā paḌā
chāhne vāloñ ko āḳhir daar tak jaanā paḌā
āgahī ko bas usūl-e-yār tak jaanā paḌā
be-ḳhudī ko ehtirāman daar tak jaanā paḌā
ġhuncha-e-gul ko bahāreñ pesh karne ke liye
bāġhbāñ ko sarhadoñ ke paar tak jaanā paḌā
ho chukā bīmār-e-ġham jab har davā se lā-ilāj
chārāgar ko ḳhud dil-e-bīmār tak jaanā paḌā
ḳhushbuoñ kī jab se ulfat chhoḌ baiThā bāġhbāñ
ḳhushbuoñ ko kūcha-o-bāzār tak jaanā paḌā
vaqt ke munsif kī dekho to karam-farmā.iyāñ
shahsavāroñ ko bhī dasht-e-ḳhār tak jaanā paḌā
nāz-bardārī ġhazal kī ham suḳhan-var kyā kareñ
'mīr' ko to sāya-e-dīvār tak jaanā paḌā
aazmaish imtihan isar tak jaana paDa
jaan-nisari ko raza-e-yar tak jaana paDa
zindagani ki hadon ke par tak jaana paDa
chahne walon ko aaKHir dar tak jaana paDa
aagahi ko bas usul-e-yar tak jaana paDa
be-KHudi ko ehtiraman dar tak jaana paDa
ghuncha-e-gul ko bahaaren pesh karne ke liye
baghban ko sarhadon ke par tak jaana paDa
ho chuka bimar-e-gham jab har dawa se la-ilaj
chaaragar ko KHud dil-e-bimar tak jaana paDa
KHushbuon ki jab se ulfat chhoD baiTha baghban
KHushbuon ko kucha-o-bazar tak jaana paDa
waqt ke munsif ki dekho to karam-farmaiyan
shahsawaron ko bhi dasht-e-KHar tak jaana paDa
naz-bardari ghazal ki hum suKHan-war kya karen
'mir' ko to saya-e-diwar tak jaana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.