aazmaungi use main bhi sahar hone tak
Interesting Fact
نذر غالب
āzmā.ūñgī use maiñ bhī sahar hone tak
apne ehsās kī hiddat ko guhar hone tak
kuchh to ādāb-e-mohabbat kā bharam hī rakhte
vaqt to lagtā hai koñpal ko shajar hone tak
apnī dīvāngī-e-shauq kā kyā haal kaheñ
ḳhaak ho jā.eñge ham un ko ḳhabar hone tak
vaqt hai ab bhī 'ġhazal' rok lo us ko baḌh kar
kaun miltā hai duāoñ meñ asar hone tak
aazmaungi use main bhi sahar hone tak
apne ehsas ki hiddat ko guhar hone tak
kuchh to aadab-e-mohabbat ka bharam hi rakhte
waqt to lagta hai konpal ko shajar hone tak
apni diwangi-e-shauq ka kya haal kahen
KHak ho jaenge hum un ko KHabar hone tak
waqt hai ab bhi 'ghazal' rok lo us ko baDh kar
kaun milta hai duaon mein asar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.