aazurda-e-KHayal hun aashufta-haal hun
āzurda-e-ḳhayāl huuñ āshufta-hāl huuñ
barbādiyoñ kī aap maiñ apnī misāl huuñ
ai barq aa ki ab mirā jiinā muhāl hai
pyāsī zamīñ pe sūkhe shajar kī maiñ Daal huuñ
sab chhoḌ mujh ko chal diye ahbāb-e-ḳhush-ḳhayāl
baaqī maiñ ek sūrat-e-huzn-o-malāl huuñ
vīrāniyoñ ke aks kā dikhlā.e jo jamāl
maiñ vo kamāl-e-ā.ina-e-dasht-hāl huuñ
āñkhoñ se merī duur rahā ḳhvāb bhī 'shafīq'
hasrat kī shab huuñ dard kī sub.hoñ kā jaal huuñ
aazurda-e-KHayal hun aashufta-haal hun
barbaadiyon ki aap main apni misal hun
ai barq aa ki ab mera jina muhaal hai
pyasi zamin pe sukhe shajar ki main Dal hun
sab chhoD mujh ko chal diye ahbab-e-KHush-KHayal
baqi main ek surat-e-huzn-o-malal hun
viraniyon ke aks ka dikhlae jo jamal
main wo kamal-e-aina-e-dasht-haal hun
aankhon se meri dur raha KHwab bhi 'shafiq'
hasrat ki shab hun dard ki subhon ka jal hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.