ab aa bhi jao ki sham-o-sahar khule hue hain
ab aa bhī jaao ki shām-o-sahar khule hue haiñ
tumhāre vāste āñkhoñ ke dar khule hue haiñ
vo māhtāb abhī tak nahīñ khulā ham par
abhī to rang bahut muḳhtasar khule hue haiñ
khule hue haiñ jahānoñ ke dar usī jānib
tire jamāl ke daftar jidhar khule hue haiñ
tū mere sāmne aayā to aise lagtā hai
hazāroñ aa.ine pesh-e-nazar khule hue haiñ
unheñ samajhne meñ ye mas.ala bhī hai darpesh
vo log mujh pe bahut muḳhtasar khule hue haiñ
uThā rahā huuñ maiñ lazzat safar kī har lamha
mire vujūd pe kitne safar khule hue haiñ
sazā.eñ sahne se Darte nahīñ haiñ ahl-e-junūñ
hamārī jaan pe vahshat ke dar khule hue haiñ
qafas se dekh rahe haiñ bas āsmāñ 'adnān'
parind qaid haiñ aur bāl-o-par khule hue haiñ
vo mere paas bhī hai aur paas hai bhī nahīñ
tazād kaise ye ‘adnān-asar' khule hue haiñ
ab aa bhi jao ki sham-o-sahar khule hue hain
tumhaare waste aankhon ke dar khule hue hain
wo mahtab abhi tak nahin khula hum par
abhi to rang bahut muKHtasar khule hue hain
khule hue hain jahanon ke dar usi jaanib
tere jamal ke daftar jidhar khule hue hain
tu mere samne aaya to aise lagta hai
hazaron aaine pesh-e-nazar khule hue hain
unhen samajhne mein ye masala bhi hai darpesh
wo log mujh pe bahut muKHtasar khule hue hain
uTha raha hun main lazzat safar ki har lamha
mere wujud pe kitne safar khule hue hain
sazaen sahne se Darte nahin hain ahl-e-junun
hamari jaan pe wahshat ke dar khule hue hain
qafas se dekh rahe hain bas aasman 'adnan'
parind qaid hain aur baal-o-par khule hue hain
wo mere pas bhi hai aur pas hai bhi nahin
tazad kaise ye ‘adnan-asar' khule hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.