ab aaine ko shakl bhi dikhla na paenge
ab aa.ine ko shakl bhī dikhlā na pā.eñge
kuchh log apne aap ko samjhā na pā.eñge
ā.eñge paas baiTh ke deñge tasalliyāñ
lekin kisī kā zaḳhm vo sahlā na pā.eñge
kahnī thī apnī baat jo ik baar kah chuke
har din vahī bayān to dohrā na pā.eñge
kitnī udaas ghar kī hai dahlīz āj-kal
jab se vo kah ga.e haiñ ki ab aa na pā.eñge
mat bhūliye ki aaj ke bachche zahīn haiñ
pariyoñ kī dāstān se bahlā na pā.eñge
māñgeñ bhī sar jhukā ke tire dar pe aur kyā
pahle se jo milā hai vo lauTā na pā.eñge
ab to utar ga.e haiñ tumhārī 'nazar' se ham
ḳhud ko kisī maqām pe pahuñchā na pā.eñge
ab aaine ko shakl bhi dikhla na paenge
kuchh log apne aap ko samjha na paenge
aaenge pas baiTh ke denge tasalliyan
lekin kisi ka zaKHm wo sahla na paenge
kahni thi apni baat jo ek bar kah chuke
har din wahi bayan to dohra na paenge
kitni udas ghar ki hai dahliz aaj-kal
jab se wo kah gae hain ki ab aa na paenge
mat bhuliye ki aaj ke bachche zahin hain
pariyon ki dastan se bahla na paenge
mangen bhi sar jhuka ke tere dar pe aur kya
pahle se jo mila hai wo lauTa na paenge
ab to utar gae hain tumhaari 'nazar' se hum
KHud ko kisi maqam pe pahuncha na paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.