ab aao surud-e-gham sunaen
ab aao surūd-e-ġham sunā.eñ
sotī huī ruuh ko jagā.eñ
ajzā-e-hayāt muntashir haiñ
ā.īn-e-hayāt kyā banā.eñ
ho jā.ūñ maiñ zindagī se bezār
itnā bhī na aap āzmā.eñ
bujhne ko hai sham-e-zindagānī
kyā aap ko hāl-e-dil sunā.eñ
maiñ ḳhūgar-e-dard ho chalā huuñ
achchhā hai ki aap ab na aa.eñ
ishrat ke fareb khāne vaale
jiinā hai agar to ġham uThā.eñ
majbūr-e-yaqīn-e-va.ada huuñ maiñ
ai 'hosh' vo aa.eñ yā na aa.eñ
ab aao surud-e-gham sunaen
soti hui ruh ko jagaen
ajza-e-hayat muntashir hain
aain-e-hayat kya banaen
ho jaun main zindagi se bezar
itna bhi na aap aazmaen
bujhne ko hai sham-e-zindagani
kya aap ko haal-e-dil sunaen
main KHugar-e-dard ho chala hun
achchha hai ki aap ab na aaen
ishrat ke fareb khane wale
jina hai agar to gham uThaen
majbur-e-yaqin-e-wada hun main
ai 'hosh' wo aaen ya na aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.