ab agar ishq ke aasar nahin badlenge
ab agar ishq ke āsār nahīñ badleñge
ham bhī pairāya-e-iz.hār nahīñ badleñge
rāste ḳhud hī badal jaa.eñ to badleñ varna
chalne vaale kabhī raftār nahīñ badleñge
duur tak hai vahī aaseb kā pahra ab bhī
kyā mire shahr ke atvār nahīñ badleñge
maiñ samajhtā huuñ sitāre jo sahar se pahle
bujhne vaale haiñ shab-e-tār nahīñ badleñge
gul badal jā.eñge jab mausam-e-gul bichhḌegā
jab ḳhizāñ jā.egī to ḳhaar nahīñ badleñge
log badleñge mafāhīm musalsal 'āġhāz'
aur ye sach hai mire ash.ār nahīñ badleñge
ab agar ishq ke aasar nahin badlenge
hum bhi pairaya-e-izhaar nahin badlenge
raste KHud hi badal jaen to badlen warna
chalne wale kabhi raftar nahin badlenge
dur tak hai wahi aaseb ka pahra ab bhi
kya mere shahr ke atwar nahin badlenge
main samajhta hun sitare jo sahar se pahle
bujhne wale hain shab-e-tar nahin badlenge
gul badal jaenge jab mausam-e-gul bichhDega
jab KHizan jaegi to KHar nahin badlenge
log badlenge mafahim musalsal 'aghaz'
aur ye sach hai mere ashaar nahin badlenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.