ab apna yaqin hai na koi aur guman yaad
ab apna yaqin hai na koi aur guman yaad
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ab apnā yaqīñ hai na koī aur gumāñ yaad
maiñ kaise kahūñ mujh ko haiñ sab kaun-o-makāñ yaad
mujh ko to mahīnoñ se ḳhabar apnī nahīñ hai
tū pūchh rahā hai ki tujhe hai vo fulāñ yaad
ahvāl-e-dil-e-shefta mat pūchhiye mujh se
vo qaidī huuñ jis ko nahīñ apnī hī fuġhāñ yaad
maiñ bhuul bhī jaatā huuñ to kuchh darguzarī kar
vahshat meñ bhalā rahte haiñ ādāb kahāñ yaad
us nasl meñ maujūd huuñ jis nasl ko 'jāmī'
tārīḳh kā kuchh ilm na ab tīr-o-sināñ yaad
ab apna yaqin hai na koi aur guman yaad
main kaise kahun mujh ko hain sab kaun-o-makan yaad
mujh ko to mahinon se KHabar apni nahin hai
tu puchh raha hai ki tujhe hai wo fulan yaad
ahwal-e-dil-e-shefta mat puchhiye mujh se
wo qaidi hun jis ko nahin apni hi fughan yaad
main bhul bhi jata hun to kuchh darguzari kar
wahshat mein bhala rahte hain aadab kahan yaad
us nasl mein maujud hun jis nasl ko 'jami'
tariKH ka kuchh ilm na ab tir-o-sinan yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.