ab apne aapko KHud se chhupa raha hun main
ab apne aap ko ḳhud se chhupā rahā huuñ maiñ
bahut shadīd masā.ib meñ mubtalā huuñ maiñ
ye dhuup chhāñv ke mausam ye gardish-e-daurāñ
kahīñ pe ḳhatm huā huuñ kahīñ bachā huuñ maiñ
kabhī bhī mujh ko mayassar nahīñ huā dariyā
to tishnagī tujhe apnā banā rahā huuñ maiñ
mire qarīb na aa.egā terī yaad kā nuur
diyā jo dil meñ thā raushan bujhā rahā huuñ maiñ
kabhī laboñ pe tabassum kā nuur rahtā thā
ab apnī āñkhoñ se dariyā bahā rahā huuñ maiñ
maiñ rāh-e-haq kā musāfir mirā nasīb hai ye
ḳhud apne ḳhuun se maqtal sajā rahā huuñ maiñ
ye raat din kā tasalsul bhī ek jaadū hai
kahīñ añdherā banā huuñ kahīñ ziyā huuñ maiñ
agar maiñ chāhūñ bhī ḳhud ko manā nahīñ saktā
ḳhud apne aap se is darja ab ḳhafā huuñ maiñ
'vasīm' apne muqaddar kī ye kahānī hai
kahīñ laboñ kī ḳhamoshī kahīñ sadā huuñ maiñ
ab apne aap ko KHud se chhupa raha hun main
bahut shadid masaib mein mubtala hun main
ye dhup chhanw ke mausam ye gardish-e-dauran
kahin pe KHatm hua hun kahin bacha hun main
kabhi bhi mujh ko mayassar nahin hua dariya
to tishnagi tujhe apna bana raha hun main
mere qarib na aaega teri yaad ka nur
diya jo dil mein tha raushan bujha raha hun main
kabhi labon pe tabassum ka nur rahta tha
ab apni aankhon se dariya baha raha hun main
main rah-e-haq ka musafir mera nasib hai ye
KHud apne KHun se maqtal saja raha hun main
ye raat din ka tasalsul bhi ek jadu hai
kahin andhera bana hun kahin ziya hun main
agar main chahun bhi KHud ko mana nahin sakta
KHud apne aap se is darja ab KHafa hun main
'wasim' apne muqaddar ki ye kahani hai
kahin labon ki KHamoshi kahin sada hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.