ab apne aapko rakkho jala ke raste mein
ab apne aap ko rakkho jalā ke raste meñ
charāġh kis kā jalā hai havā ke raste meñ
haiñ sar-ba-sajda magar sar-ba-kaf nahīñ hote
farishte ban ga.e insāñ ḳhudā ke raste meñ
hamārā ḳhuun to paanī ke mol biktā hai
milegā sar na koī karbalā ke raste meñ
maiñ apnā nāma-e-a.amāl kis se uThvā.ūñ
banā hai raah kā patthar duā ke raste meñ
vo shahr-yār hai lekin hañsī se Dartā hai
hai us kā daur-e-hukūmat fanā ke raste meñ
maiñ apnī manzil-e-maqsūd tak nahīñ pahuñchā
bhaTak rahā huuñ abhī tak anā ke raste meñ
vo naqsh-e-pā to kisī kaam ke nahīñ 'jāved'
Thahar sakeñ na kabhī jo havā ke raste meñ
ab apne aap ko rakkho jala ke raste mein
charagh kis ka jala hai hawa ke raste mein
hain sar-ba-sajda magar sar-ba-kaf nahin hote
farishte ban gae insan KHuda ke raste mein
hamara KHun to pani ke mol bikta hai
milega sar na koi karbala ke raste mein
main apna nama-e-amal kis se uThwaun
bana hai rah ka patthar dua ke raste mein
wo shahr-yar hai lekin hansi se Darta hai
hai us ka daur-e-hukumat fana ke raste mein
main apni manzil-e-maqsud tak nahin pahuncha
bhaTak raha hun abhi tak ana ke raste mein
wo naqsh-e-pa to kisi kaam ke nahin 'jawed'
Thahar saken na kabhi jo hawa ke raste mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.