ab bhi duzdida nigah-e-naz hai
ab bhī duzdīda nigāh-e-nāz hai
kyā mire rone meñ bhī kuchh raaz hai
ban ga.e afsāne merī aah ke
ḳhāmushī terī ki ab bhī raaz hai
dekhne vaale kī āñkheñ dekhiye
aap ko sūrat pe apnī naaz hai
ho chukī nākāmiyoñ kī intihā
aur ulfat kā abhī āġhāz hai
'maikash'-o-inkār-e-bāda haf-nazar
laao sāġhar ye bhī ik andāz hai
ab bhi duzdida nigah-e-naz hai
kya mere rone mein bhi kuchh raaz hai
ban gae afsane meri aah ke
KHamushi teri ki ab bhi raaz hai
dekhne wale ki aankhen dekhiye
aap ko surat pe apni naz hai
ho chuki nakaamiyon ki intiha
aur ulfat ka abhi aaghaz hai
'maikash'-o-inkar-e-baada haf-nazar
lao saghar ye bhi ek andaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.