ab bhi himmat hai jaan baqi hai
ab bhī himmat hai jaan baaqī hai
mere muñh meñ zabān baaqī hai
jo gayā aaj tak nahīñ lauTā
kis kā nām-o-nishān baaqī hai
rasm-e-duniyā hai aane jaane kī
aur bhī ik jahān baaqī hai
tum samajhte ho mil ga.ī duniyā
hashr kā imtihān baaqī hai
gir chukī haiñ hazār dīvāreñ
aur bhī ik makān baaqī hai
vo havelī amīr-e-shahr kī hai
jis kā nām-o-nishān baaqī hai
mere ajdād kā abhī 'māhir'
azmatoñ kā nishān baaqī hai
ab bhi himmat hai jaan baqi hai
mere munh mein zaban baqi hai
jo gaya aaj tak nahin lauTa
kis ka nam-o-nishan baqi hai
rasm-e-duniya hai aane jaane ki
aur bhi ek jahan baqi hai
tum samajhte ho mil gai duniya
hashr ka imtihan baqi hai
gir chuki hain hazar diwaren
aur bhi ek makan baqi hai
wo haweli amir-e-shahr ki hai
jis ka nam-o-nishan baqi hai
mere ajdad ka abhi 'mahir'
azmaton ka nishan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.