ab bhi uski yaad aakar dil ko taDpa jae hai
ab bhi uski yaad aakar dil ko taDpa jae hai
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
ab bhī us kī yaad aakar dil ko taḌpā jaa.e hai
yuuñ bhulāne se kahīñ us but ko bhūlā jaa.e hai
aur gahre ho rahe haiñ ahd-e-māzī ke nuqūsh
dil kā har ik zaḳhm ab nāsūr bantā jaa.e hai
ḳhud-baḳhud ik huuk uThtī hai taḌap jaatā hai dil
jaan kar ai dost varna kis se taḌpā jaa.e hai
haal dil kā ab to sūrat se ayaañ hone lagā
jis ko dekho muñh mirā hairat se taktā jaa.e hai
ab to hai tark-e-tamannā hī ġham-e-dil kā ilaaj
in tamannāoñ se dil kā dard baḌhtā jaa.e hai
pās-e-ḳhātir hai kahūñ kyā apne chāra-sāz se
baḌh rahī hai Tiis jitnā zaḳhm bhartā jaa.e hai
jaam milte haiñ 'shifā' ko un kī chashm-e-mast se
laġhzisheñ hotī to haiñ lekin sañbhaltā jaa.e hai
ab bhi us ki yaad aakar dil ko taDpa jae hai
yun bhulane se kahin us but ko bhula jae hai
aur gahre ho rahe hain ahd-e-mazi ke nuqush
dil ka har ek zaKHm ab nasur banta jae hai
KHud-baKHud ek huk uThti hai taDap jata hai dil
jaan kar ai dost warna kis se taDpa jae hai
haal dil ka ab to surat se ayan hone laga
jis ko dekho munh mera hairat se takta jae hai
ab to hai tark-e-tamanna hi gham-e-dil ka ilaj
in tamannaon se dil ka dard baDhta jae hai
pas-e-KHatir hai kahun kya apne chaara-saz se
baDh rahi hai Tis jitna zaKHm bharta jae hai
jam milte hain 'shifa' ko un ki chashm-e-mast se
laghzishen hoti to hain lekin sanbhalta jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.