ab bhi wo aa ja sakta hai
ab bhī vo aa jā saktā hai
qarz chukāyā jā saktā hai
saath nibhānā hai gar mushkil
farz nibhāyā jā saktā hai
soch rahā huuñ soch ke us ko
us ko sochā jā saktā hai
chāñd nahīñ ye dil hai merā
daaġh bhī dekhā jā saktā hai
bāñhoñ meñ ārām se le kar
shīsha toḌā jā saktā hai
shānoñ par zulfeñ bikhrā ke
hashr uThāyā jā saktā hai
yaad kā paudā sīñch ke us kī
chhāñv meñ baiThā jā saktā hai
dil kī baat batānā ho to
sher sunāyā jā saktā hai
ab bhi wo aa ja sakta hai
qarz chukaya ja sakta hai
sath nibhana hai gar mushkil
farz nibhaya ja sakta hai
soch raha hun soch ke us ko
us ko socha ja sakta hai
chand nahin ye dil hai mera
dagh bhi dekha ja sakta hai
banhon mein aaram se le kar
shisha toDa ja sakta hai
shanon par zulfen bikhra ke
hashr uThaya ja sakta hai
yaad ka pauda sinch ke us ki
chhanw mein baiTha ja sakta hai
dil ki baat batana ho to
sher sunaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.