ab chhoD bhi do yar badan TuT raha hai
ab chhoḌ bhī do yaar badan TuuT rahā hai
bāñhoñ meñ giraftār badan TuuT rahā hai
is kibr se kab kis ko sukūñ aayā mayassar
mast-e-mai-e-pindār badan TuuT rahā hai
dāman jo huā chaak to kuchh ġham nahīñ lekin
ai husn kī sarkār badan TuuT rahā hai
har roz patañgoñ se charāġhoñ ne kahā ye
mil kar na karo vaar badan TuuT rahā hai
barsoñ se mirā jism dil-o-jān-o-jigar se
hai bar-sar-e-paikār badan TuuT rahā hai
roTī ke liye roz thakan saath huuñ laatā
ab mat karo singār badan TuuT rahā hai
miTTī ke khilaunoñ ko uThā.e hue buḌhiyā
DhūñDhe hai ḳharīdār badan TuuT rahā hai
inkār zabānī thā koī jang nahīñ thī
phir kyoñ mirā be-kār badan TuuT rahā hai
chaḌhtī huī har saañs nahīñ āḳhirī hotī
ab bas bhī karo pyaar badan TuuT rahā hai
kāñToñ kī zamīñ sang kī bārish meñ yuuñ 'kāshif'
chalnā huā dushvār badan TuuT rahā hai
ab chhoD bhi do yar badan TuT raha hai
banhon mein giraftar badan TuT raha hai
is kibr se kab kis ko sukun aaya mayassar
mast-e-mai-e-pindar badan TuT raha hai
daman jo hua chaak to kuchh gham nahin lekin
ai husn ki sarkar badan TuT raha hai
har roz patangon se charaghon ne kaha ye
mil kar na karo war badan TuT raha hai
barson se mera jism dil-o-jaan-o-jigar se
hai bar-sar-e-paikar badan TuT raha hai
roTi ke liye roz thakan sath hun lata
ab mat karo singar badan TuT raha hai
miTTi ke khilaunon ko uThae hue buDhiya
DhunDhe hai KHaridar badan TuT raha hai
inkar zabani tha koi jang nahin thi
phir kyon mera be-kar badan TuT raha hai
chaDhti hui har sans nahin aaKHiri hoti
ab bas bhi karo pyar badan TuT raha hai
kanTon ki zamin sang ki barish mein yun 'kashif'
chalna hua dushwar badan TuT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.