ab dard be-dayar hai aur jag-hansai hai
ab dard be-dayār hai aur jag-hañsā.ī hai
is 'ishq ne bhī kaisī javāñ maut paa.ī hai
bādal haiñ dil ke dil koī rauzan kahīñ nahīñ
ab chhāvnī ġhamoñ ne falak par bhī chhā.ī hai
ruḳhsat ke baa'd tere sarāpe se māvarā
ye kaun sī adā hai jo ab yaad aa.ī hai
aa.ī jo sar pe dhuup lage ḳhema-e-ḳhayāl
tum ho jabhī to vaqt ko yuuñ niiñd aa.ī hai
chup ho gayā hai dil sā fasāna-nigār bhī
tanhā.ī ik rahī thī so vo bhī parā.ī hai
kyā ab kabhī junūñ kā bulāvā na aa.egā
sahrā kī ḳhaak uḌ ke ḳhayābāñ meñ aa.ī hai
jo guzre ġham ko ḳhud meñ samo.e raheñge ham
ham ne 'zahīr' jiine kī saugand khaa.ī hai
ab dard be-dayar hai aur jag-hansai hai
is 'ishq ne bhi kaisi jawan maut pai hai
baadal hain dil ke dil koi rauzan kahin nahin
ab chhawni ghamon ne falak par bhi chhai hai
ruKHsat ke ba'd tere sarape se mawara
ye kaun si ada hai jo ab yaad aai hai
aai jo sar pe dhup lage KHema-e-KHayal
tum ho jabhi to waqt ko yun nind aai hai
chup ho gaya hai dil sa fasana-nigar bhi
tanhai ek rahi thi so wo bhi parai hai
kya ab kabhi junun ka bulawa na aaega
sahra ki KHak uD ke KHayaban mein aai hai
jo guzre gham ko KHud mein samoe rahenge hum
hum ne 'zahir' jine ki saugand khai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.