ab dard-e-dil se kah do ki chhup kar wahin rahe
ab dard-e-dil se kah do ki chhup kar wahin rahe
Vibha Jain 'Khwaab'
MORE BYVibha Jain 'Khwaab'
ab dard-e-dil se kah do ki chhup kar vahīñ rahe
āñkhoñ ke āñsuoñ se marāsim nahīñ rahe
in par huā na vaqt ke marham kā kuchh asar
yādoñ ke aise zaḳhm haiñ bhar hī nahīñ rahe
ik din bichhaḌnā tai thā so āḳhir bichhaḌ ga.e
bas hai du'ā vo ḳhush rahe chāhe kahīñ rahe
ham ko hai apnī sāda-dilī par bahut gumān
duniyā agar hai ham se ziyāda zahīñ rahe
man kā parind naql-e-makānī na kar sakā
ab us kī ḳhair vo jahāñ marzī vahīñ rahe
ab dard-e-dil se kah do ki chhup kar wahin rahe
aankhon ke aansuon se marasim nahin rahe
in par hua na waqt ke marham ka kuchh asar
yaadon ke aise zaKHm hain bhar hi nahin rahe
ek din bichhaDna tai tha so aaKHir bichhaD gae
bas hai du'a wo KHush rahe chahe kahin rahe
hum ko hai apni sada-dili par bahut guman
duniya agar hai hum se ziyaada zahin rahe
man ka parind naql-e-makani na kar saka
ab us ki KHair wo jahan marzi wahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.