ab dekh rahe ho na pazirai hamari
ab dekh rahe ho na pazīrā.ī hamārī
sad-shukr zamāne ko samajh aa.ī hamārī
tum ko na badalnā paḌe tālāb kā paanī
tum ko na basar karnī paḌe kaa.ī hamārī
aflāk ke us paar nazar aatā thā ham ko
tū thā to bahut tez thī bīnā.ī hamārī
tum bhej nahīñ sakte ho gulzār kī nazmeñ
tum baañT nahīñ sakte ho tanhā.ī hamārī
parkho kisī mīzān pe me'yār-e-basīrat
maapo kisī paimāne se gahrā.ī hamārī
ab dekh rahe ho na pazirai hamari
sad-shukr zamane ko samajh aai hamari
tum ko na badalna paDe talab ka pani
tum ko na basar karni paDe kai hamari
aflak ke us par nazar aata tha hum ko
tu tha to bahut tez thi binai hamari
tum bhej nahin sakte ho gulzar ki nazmen
tum banT nahin sakte ho tanhai hamari
parkho kisi mizan pe me'yar-e-basirat
mapo kisi paimane se gahrai hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.