ab dil ke karobar mein shohrat zara si ho
ab dil ke kārobār meñ shohrat zarā sī ho
ham log jab mileñ to suhūlat zarā sī ho
ye kyā ki aaj yaad kiyā kal bhulā diyā
chāho kisī ko jab bhī to shiddat zarā sī ho
is daur-e-nau meñ miltā hai e.azāz bhī use
jo matlabī ho jis meñ jahālat zarā sī ho
karnā to chāhtā huuñ maiñ tujh se ka.ī savāl
ai iltifāt-e-yār ināyat zarā sī ho
jis pe hai dil fidā mirā jo hai mujhe e.azāz
us ke bhī dil meñ kaash mohabbat zarā sī ho
maiñ jis ke pyaar meñ huā barbād chār-sū
us ke bhī dil meñ merī hukūmat zarā sī ho
'kāshif' mujhe pasand na aaya kabhī vo shaḳhs
daulat ho jis pe ḳhuub par izzat zarā sī ho
ab dil ke karobar mein shohrat zara si ho
hum log jab milen to suhulat zara si ho
ye kya ki aaj yaad kiya kal bhula diya
chaho kisi ko jab bhi to shiddat zara si ho
is daur-e-nau mein milta hai eazaz bhi use
jo matlabi ho jis mein jahaalat zara si ho
karna to chahta hun main tujh se kai sawal
ai iltifat-e-yar inayat zara si ho
jis pe hai dil fida mera jo hai mujhe eazaz
us ke bhi dil mein kash mohabbat zara si ho
main jis ke pyar mein hua barbaad chaar-su
us ke bhi dil mein meri hukumat zara si ho
'kashif' mujhe pasand na aaya kabhi wo shaKHs
daulat ho jis pe KHub par izzat zara si ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.