ab dilae mujhe taskin to aaKHir koi
ab dilā.e mujhe taskīn to āḳhir koī
de gayā dard kā ehsās muhājir koī
merī fariyād-o-fuġhāñ guuñj rahī thī lekin
mere ghar tak nahīñ aayā kabhī nāsir koī
rang uḌtā huā lagtā hai har ik titlī kā
aa gayā baaġh meñ kyā phuul kā tājir koī
apne dāman meñ liye jaatā hai raste kā ġhubār
chhāñv hai hī kahāñ Thahre jo musāfir koī
har ghaḌī rakkhī hai gardan pe siyāsī talvār
kaise zinda rahe aḳhbār kā nāshir koī
be-ruḳhī itnī bhī achchhī nahīñ hotī 'ātish'
kab se hai pyaar kā tohfa liye hāzir koī
ab dilae mujhe taskin to aaKHir koi
de gaya dard ka ehsas muhajir koi
meri fariyaad-o-fughan gunj rahi thi lekin
mere ghar tak nahin aaya kabhi nasir koi
rang uDta hua lagta hai har ek titli ka
aa gaya bagh mein kya phul ka tajir koi
apne daman mein liye jata hai raste ka ghubar
chhanw hai hi kahan Thahre jo musafir koi
har ghaDi rakkhi hai gardan pe siyasi talwar
kaise zinda rahe aKHbar ka nashir koi
be-ruKHi itni bhi achchhi nahin hoti 'atish'
kab se hai pyar ka tohfa liye hazir koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.