ab duaon se bhi behtar nahin hone wala
ab du'āoñ se bhī behtar nahīñ hone vaalā
sochte vo haiñ jo aksar nahīñ hone vaalā
shahr kā shahr hai ab us kī talab meñ ġhaltāñ
jo kisī ko bhī mayassar nahīñ hone vaalā
ḳhud ko badleñge to hālāt badal sakte haiñ
varna tabdīl ye manzar nahīñ hone vaalā
phir na.e Dhang se taḳhlīq ho is duniyā kī
hādisa aisā mukarrar nahīñ hone vaalā
ranj hī ranj haiñ darpesh mujhe shām-o-sahar
phir bhī maiñ ranj kā ḳhūgar nahīñ hone vaalā
āsmāñ-zādoñ se haq chhīn ke lenā hogā
haal ab is se to bad-tar nahīñ hone vaalā
merī sāñsoñ meñ 'nadīm' aise samāyā huā hai
vo jo ik shaḳhs muqaddar nahīñ hone vaalā
ab du'aon se bhi behtar nahin hone wala
sochte wo hain jo aksar nahin hone wala
shahr ka shahr hai ab us ki talab mein ghaltan
jo kisi ko bhi mayassar nahin hone wala
KHud ko badlenge to haalat badal sakte hain
warna tabdil ye manzar nahin hone wala
phir nae Dhang se taKHliq ho is duniya ki
hadisa aisa mukarrar nahin hone wala
ranj hi ranj hain darpesh mujhe sham-o-sahar
phir bhi main ranj ka KHugar nahin hone wala
aasman-zadon se haq chhin ke lena hoga
haal ab is se to bad-tar nahin hone wala
meri sanson mein 'nadim' aise samaya hua hai
wo jo ek shaKHs muqaddar nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.