ab dur talak yaad ka sahra hai nazar mein
ab duur talak yaad kā sahrā hai nazar meñ
kuchh roz to rahnā hai isī rāhguzar meñ
ham pyaas ke jangal kī kamīñ-gah se na nikle
dariya-e-ināyat kā kināra thā nagar meñ
kis ke liye hāthoñ kī lakīroñ ko ubhāreñ
apnā to har ik pal hai sitāroñ ke asar meñ
ab ḳhvāb bhī dekhe nahīñ jaate ki ye āñkheñ
bas jāgtī rahtī haiñ tire sāya-e-dar meñ
kis ke liye pairoñ ko aziyyat meñ rakhā jaa.e
ḳhud DhūñD ke tanhā.ī chalī aa.ī hai ghar meñ
phir zill-e-ilāhī ke savāroñ kī sadā aa.ī
phir kaun huā mūrid-e-ilzām nagar meñ
'qaisar' bhī salīb apnī uThā.e hue guzrā
kahte haiñ ki ḳhuddār thā jiine ke hunar meñ
ab dur talak yaad ka sahra hai nazar mein
kuchh roz to rahna hai isi rahguzar mein
hum pyas ke jangal ki kamin-gah se na nikle
dariya-e-inayat ka kinara tha nagar mein
kis ke liye hathon ki lakiron ko ubhaaren
apna to har ek pal hai sitaron ke asar mein
ab KHwab bhi dekhe nahin jate ki ye aankhen
bas jagti rahti hain tere saya-e-dar mein
kis ke liye pairon ko aziyyat mein rakha jae
KHud DhunD ke tanhai chali aai hai ghar mein
phir zill-e-ilahi ke sawaron ki sada aai
phir kaun hua murid-e-ilzam nagar mein
'qaisar' bhi salib apni uThae hue guzra
kahte hain ki KHuddar tha jine ke hunar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.