ab dusri hasrat koi pali nahin jati
ab dūsrī hasrat koī paalī nahīñ jaatī
tasvīr tirī dil se nikālī nahīñ jaatī
kyā aap bhī rote ho mirī yaad meñ shab bhar
kyā aap kī āñkhoñ se bhī laalī nahīñ jaatī
gustāḳhiyāñ ho jaatī haiñ insān se maanā
rishtoñ pe magar ḳhaak to Daalī nahīñ jaatī
ye soch le zālim tū sitam karne se pahle
ek aah bhī mazlūm kī ḳhālī nahīñ jaatī
jo dekh le ik baar madīne kā nazāra
phir zehn se roze kī vo jaalī nahīñ jaatī
jin bachchoñ ko paalā thā baḌe naaz se maañ ne
maañ aaj 'jamāl' un se hī paalī nahīñ jaatī
ek phāñs 'jamāl' aisī mire dil meñ chubhī hai
jo chāragaroñ se bhī nikālī nahīñ jaatī
ab dusri hasrat koi pali nahin jati
taswir teri dil se nikali nahin jati
kya aap bhi rote ho meri yaad mein shab bhar
kya aap ki aankhon se bhi lali nahin jati
gustaKHiyan ho jati hain insan se mana
rishton pe magar KHak to Dali nahin jati
ye soch le zalim tu sitam karne se pahle
ek aah bhi mazlum ki KHali nahin jati
jo dekh le ek bar madine ka nazara
phir zehn se roze ki wo jali nahin jati
jin bachchon ko pala tha baDe naz se man ne
man aaj 'jamal' un se hi pali nahin jati
ek phans 'jamal' aisi mere dil mein chubhi hai
jo chaaragaron se bhi nikali nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.