ab faqat gham se aashnai hai
ab faqat ġham se āshnā.ī hai
choT ulfat meñ aisī khaa.ī hai
ġham zamāne ke de diye us ne
kitnī zālim tirī judā.ī hai
un se ummīd kyā vafāoñ kī
jin kā sheva hī bevafā.ī hai
sajda karne pe bhī hai pābandī
husn-e-jānāñ tirī duhā.ī hai
baat ham se kareñ na vo 'parvāz'
baat sunñe meñ kyā burā.ī hai
ab faqat gham se aashnai hai
choT ulfat mein aisi khai hai
gham zamane ke de diye us ne
kitni zalim teri judai hai
un se ummid kya wafaon ki
jin ka shewa hi bewafai hai
sajda karne pe bhi hai pabandi
husn-e-jaanan teri duhai hai
baat hum se karen na wo 'parwaz'
baat sunne mein kya burai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.