ab gham ka mudawa kya hoga ab dard ka darman kya hoga
ab gham ka mudawa kya hoga ab dard ka darman kya hoga
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
ab ġham kā mudāvā kyā hogā ab dard kā darmāñ kyā hogā
jab bazm-e-tamannā suunī ho phir jashn-e-charāġhāñ kyā hogā
phūloñ ko masal jaane vaalo kyā tum ne kabhī ye sochā hai
jab daur-e-ḳhizāñ aa jā.egā anjām-e-gulistāñ kyā hogā
the chand nasheman ke tinke jal jal kar jo hue ḳhākistar
ai barq-e-tapāñ is se baḌh kar ab hashr kā sāmāñ kyā hogā
ye soch ke ham tūfānoñ se har mauj-e-talātum se uljhe
sāhil pe khaḌe rahne se ab andāza-e-tūfāñ kyā hogā
ab jān-e-tamannā kī ḳhātir dīvāna kaho yā saudā.ī
ai josh-e-junūñ galiyoñ galiyoñ phirtā huuñ pareshāñ kyā hogā
mahloñ meñ ujāle har-sū haiñ kuTiyoñ meñ añdhere phaile haiñ
tārīkī-e-qismat kā ronā ai sham-e-farozāñ kyā hogā
har gaam pe qātil milte haiñ har gaam pe lāsheñ miltī haiñ
be-gor-o-kafan in lāshoñ kā ai aaj ke insāñ kyā hogā
ye soch-samajh lenā pahle ham ko jo miTānā maqsad hai
jab ham na raheñge tere liye phir gardish-e-daurāñ kyā hogā
taḳhrīb ho jin kā tarz-e-amal har haath meñ jin ke patthar hoñ
kuchh aise anāsir se 'nayyar' ta.amīr kā sāmāñ kyā hogā
ab gham ka mudawa kya hoga ab dard ka darman kya hoga
jab bazm-e-tamanna suni ho phir jashn-e-charaghan kya hoga
phulon ko masal jaane walo kya tum ne kabhi ye socha hai
jab daur-e-KHizan aa jaega anjam-e-gulistan kya hoga
the chand nasheman ke tinke jal jal kar jo hue KHakistar
ai barq-e-tapan is se baDh kar ab hashr ka saman kya hoga
ye soch ke hum tufanon se har mauj-e-talatum se uljhe
sahil pe khaDe rahne se ab andaza-e-tufan kya hoga
ab jaan-e-tamanna ki KHatir diwana kaho ya saudai
ai josh-e-junun galiyon galiyon phirta hun pareshan kya hoga
mahlon mein ujale har-su hain kuTiyon mein andhere phaile hain
tariki-e-qismat ka rona ai sham-e-farozan kya hoga
har gam pe qatil milte hain har gam pe lashen milti hain
be-gor-o-kafan in lashon ka ai aaj ke insan kya hoga
ye soch-samajh lena pahle hum ko jo miTana maqsad hai
jab hum na rahenge tere liye phir gardish-e-dauran kya hoga
taKHrib ho jin ka tarz-e-amal har hath mein jin ke patthar hon
kuchh aise anasir se 'nayyar' tamir ka saman kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.