ab gharaz mai se na mina se na paimane se
ab gharaz mai se na mina se na paimane se
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
ab ġharaz mai se na miinā se na paimāne se
sāqiyā ho ga.ī nafrat tire maiḳhāne se
dil ko hai ishq meñ pahle hī se uljhan kāfir
aur uljhe na tirī zulf ke suljhāne se
merā īmān gayā dil bhī gayā jaañ bhī ga.ī
ye sab aafat huī us aañkh ke laḌ jaane se
ranj-e-hijrāñ ġham-e-furqat alam-e-vasl-e-adū
dam ke haiñ saath mire jā.eñge dam jaane se
nāsehā maiñ bhī kuchh aisā nahīñ nādān ki bas
chhoḌ duuñ rāh-e-mohabbat tire bahkāne se
saath jaatī dil-e-mahzūñ ke jo ye jān-e-hazīñ
chhūT jaatā maiñ shab-o-roz ke ġham khāne se
'lutf' kis tarah kare fikr-e-visāl-e-jānāñ
ek dam kī nahīñ fursat use ġham khāne kī
ab gharaz mai se na mina se na paimane se
saqiya ho gai nafrat tere maiKHane se
dil ko hai ishq mein pahle hi se uljhan kafir
aur uljhe na teri zulf ke suljhane se
mera iman gaya dil bhi gaya jaan bhi gai
ye sab aafat hui us aankh ke laD jaane se
ranj-e-hijran gham-e-furqat alam-e-wasl-e-adu
dam ke hain sath mere jaenge dam jaane se
naseha main bhi kuchh aisa nahin nadan ki bas
chhoD dun rah-e-mohabbat tere bahkane se
sath jati dil-e-mahzun ke jo ye jaan-e-hazin
chhuT jata main shab-o-roz ke gham khane se
'lutf' kis tarah kare fikr-e-visal-e-jaanan
ek dam ki nahin fursat use gham khane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.