ab humne ye socha hai koi gham na karenge
ab ham ne ye sochā hai koī ġham na kareñge
ehsās bhī mar jaa.e to mātam na kareñge
siine se lagā rakkhā hai jis dard ko ham ne
baḌh jaa.e to baḌh jaa.e ise kam na kareñge
so jā.eñge tanhā.ī kī bāñhoñ meñ lipaT kar
ab gesū-e-shab jaag ke barham na kareñge
rahnā hai yahāñ bhī hameñ jaanā hai vahāñ bhī
ye kaise kaheñ fikr-e-do-ālam na kareñge
aġhyār ko ahbāb na samjheñge 'shamīm' ab
is baab meñ ab koī ḳhatā ham na kareñge
ab hum ne ye socha hai koi gham na karenge
ehsas bhi mar jae to matam na karenge
sine se laga rakkha hai jis dard ko hum ne
baDh jae to baDh jae ise kam na karenge
so jaenge tanhai ki banhon mein lipaT kar
ab gesu-e-shab jag ke barham na karenge
rahna hai yahan bhi hamein jaana hai wahan bhi
ye kaise kahen fikr-e-do-alam na karenge
aghyar ko ahbab na samjhenge 'shamim' ab
is bab mein ab koi KHata hum na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.