ab hamein teri tamanna nahin hai
ab hameñ terī tamannā nahīñ hai
aañkh ko zauq-e-tamāshā nahīñ hai
jaane kyuuñ DhūñD rahe haiñ ham tum
vo jo taqdīr meñ likkhā nahīñ hai
yuuñ sar-e-rāhguzar baiThe haiñ
jaise ham ko kahīñ jaanā nahīñ hai
phir ye kyoñ ḳhaak sī uḌtī hai yahāñ
dil ke andar koī sahrā nahīñ hai
shahr vaalo kabhī us ko bhī paḌho
vo jo dīvār pe likkhā nahīñ hai
us ko kamtar na samajhnā logo
vo jise ḳhvāhish-e-duniyā nahīñ hai
ham ko hai qurb-e-mayassar kā nasha
ham ko andesha-e-fardā nahīñ hai
ye guzartā huā ik sāya-e-vaqt
qātil-e-umr hai lamha nahīñ hai
tah meñ rishtoñ kī utar kar dekho
kaun is dahr meñ tanhā nahīñ hai
hijr kā tujh ko hai shikva tū ne
ma.anī-e-ishq ko samjhā nahīñ hai
gum hue kitne hī be-nām shahīd
jin kā tārīḳh meñ charchā nahīñ hai
tū hai begāna to kyā tujh se gila
koī duniyā meñ kisī kā nahīñ hai
kar ga.e ḳhauf-e-ḳhizāñ se hijrat
peḌ par koī parinda nahīñ hai
ziist meñ ham ne bachā kar kuchh vaqt
kabhī apne liye rakkhā nahīñ hai
ham haiñ us ahd meñ zinda jis kā
jism hī jism hai chehra nahīñ hai
tum na hoge to jiyeñge kaise
abhī is baare meñ sochā nahīñ hai
kaisī mahfil ye sajī hai 'nāzish'
koī bhī merā shanāsā nahīñ hai
ab hamein teri tamanna nahin hai
aankh ko zauq-e-tamasha nahin hai
jaane kyun DhunD rahe hain hum tum
wo jo taqdir mein likkha nahin hai
yun sar-e-rahguzar baiThe hain
jaise hum ko kahin jaana nahin hai
phir ye kyon KHak si uDti hai yahan
dil ke andar koi sahra nahin hai
shahr walo kabhi us ko bhi paDho
wo jo diwar pe likkha nahin hai
us ko kamtar na samajhna logo
wo jise KHwahish-e-duniya nahin hai
hum ko hai qurb-e-mayassar ka nasha
hum ko andesha-e-farda nahin hai
ye guzarta hua ek saya-e-waqt
qatil-e-umr hai lamha nahin hai
tah mein rishton ki utar kar dekho
kaun is dahr mein tanha nahin hai
hijr ka tujh ko hai shikwa tu ne
mani-e-ishq ko samjha nahin hai
gum hue kitne hi be-nam shahid
jin ka tariKH mein charcha nahin hai
tu hai begana to kya tujh se gila
koi duniya mein kisi ka nahin hai
kar gae KHauf-e-KHizan se hijrat
peD par koi parinda nahin hai
zist mein hum ne bacha kar kuchh waqt
kabhi apne liye rakkha nahin hai
hum hain us ahd mein zinda jis ka
jism hi jism hai chehra nahin hai
tum na hoge to jiyenge kaise
abhi is bare mein socha nahin hai
kaisi mahfil ye saji hai 'nazish'
koi bhi mera shanasa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.