ab har ek KHair mein maujud hai shar ki surat
ab har ik ḳhair meñ maujūd hai shar kī sūrat
bā.is-e-faḳhr huā aib hunar kī sūrat
miltī-jultī hai khañDar se mire ghar kī sūrat
chhat hai añgnā.ī sī dīvār hai dar kī sūrat
zindagī ḳhatm huī aur ye hasrat hī rahī
dil kī qīmat bhī lagātā koī sar kī sūrat
raah takte haiñ ki guzregā idhar se koī
aur āñkheñ haiñ ki haiñ sham-e-sahar kī sūrat
tum mirī zaat se māyūs na honā hargiz
maiñ dabī raakh se ubhrūñgā sharar kī sūrat
hijr meñ ham pe jo guzre hai bayāñ se hai ba.iid
kaash ye ho ki udhar bhī ho idhar kī sūrat
ham to is darja mohazzab bhī na the ai 'afzal'
aise nikle the ki phir dekhī na ghar kī sūrat
ab har ek KHair mein maujud hai shar ki surat
bais-e-faKHr hua aib hunar ki surat
milti-julti hai khanDar se mere ghar ki surat
chhat hai angnai si diwar hai dar ki surat
zindagi KHatm hui aur ye hasrat hi rahi
dil ki qimat bhi lagata koi sar ki surat
rah takte hain ki guzrega idhar se koi
aur aankhen hain ki hain sham-e-sahar ki surat
tum meri zat se mayus na hona hargiz
main dabi rakh se ubhrunga sharar ki surat
hijr mein hum pe jo guzre hai bayan se hai baid
kash ye ho ki udhar bhi ho idhar ki surat
hum to is darja mohazzab bhi na the ai 'afzal'
aise nikle the ki phir dekhi na ghar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.