ab hawas ke Khaar hain is ishq ke gul-dan mein
ab havas ke ḳhaar haiñ is ishq ke gul-dān meñ
dard ke gul sūkhte haiñ 'mīr' ke dīvān meñ
dostī kā girya hai ki dostoñ kī talḳh baat
bhuul jaao dafn kar ke dil ke qabristān meñ
eḌiyāñ kyā apne sar ko bhī ragaḌ leñ ham agar
ab kabhī zamzam nahīñ niklegā registān meñ
sust-rau logoñ ko nākāmī milī aksar magar
tez chal kar bhī bahut se log haiñ nuqsān meñ
apnī chhat par amn ke panchhī ko daana kaun de
log saare jā chuke haiñ jang ke maidān meñ
kuchh na fariyādeñ suneñ ki hai election phir qarīb
rahnumāoñ se kaho ab tel Dāleñ kaan meñ
ishq meñ dil hārne ko ik zamāna ho gayā
aur ab tak de rahe haiñ ashk ham tāvān meñ
terī har ik baat ab bhī yaad aatī hai mujhe
log to kahte the maiñ huuñ mubtalā nisyān meñ
ab hawas ke KHar hain is ishq ke gul-dan mein
dard ke gul sukhte hain 'mir' ke diwan mein
dosti ka girya hai ki doston ki talKH baat
bhul jao dafn kar ke dil ke qabristan mein
eDiyan kya apne sar ko bhi ragaD len hum agar
ab kabhi zamzam nahin niklega registan mein
sust-rau logon ko nakaami mili aksar magar
tez chal kar bhi bahut se log hain nuqsan mein
apni chhat par amn ke panchhi ko dana kaun de
log sare ja chuke hain jang ke maidan mein
kuchh na fariyaaden sunen ki hai election phir qarib
rahnumaon se kaho ab tel Dalen kan mein
ishq mein dil haarne ko ek zamana ho gaya
aur ab tak de rahe hain ashk hum tawan mein
teri har ek baat ab bhi yaad aati hai mujhe
log to kahte the main hun mubtala nisyan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.