ab ho ki na ho hashr mein didar kisi ka
ab ho ki na ho hashr meñ dīdār kisī kā
hai naaz ki maiñ bhī huuñ gunahgār kisī kā
chaltā hai kahīñ vasl meñ inkār kisī kā
ab aaj kī shab uzr hai bekār kisī kā
kahtā hai jise ek jahāñ hasrat-e-dīdār
āñkhoñ meñ liye jaatā hai bīmār kisī kā
mauqe se mile koī to donoñ haiñ barābar
iqrār kisī kā na kuchh inkār kisī kā
kyuuñ huur dam-e-naz.a liye jaam khaḌī hai
kaafī hai mujhe sharbat-e-dīdār kisī kā
īmān se pūchho to ḳhatā koī nahīñ hai
ik jurm-e-vafā par huuñ gunahgār kisī kā
haiñ ek hī shīshe meñ bañdhe shaiḳh-o-barahman
tasbīh kisī kī hai na zunnār kisī kā
ham deñge use jaan bhī īmān bhī 'safdar'
is meñ to ijāra nahīñ ai yaar kisī kā
ab ho ki na ho hashr mein didar kisi ka
hai naz ki main bhi hun gunahgar kisi ka
chalta hai kahin wasl mein inkar kisi ka
ab aaj ki shab uzr hai bekar kisi ka
kahta hai jise ek jahan hasrat-e-didar
aankhon mein liye jata hai bimar kisi ka
mauqe se mile koi to donon hain barabar
iqrar kisi ka na kuchh inkar kisi ka
kyun hur dam-e-naza liye jam khaDi hai
kafi hai mujhe sharbat-e-didar kisi ka
iman se puchho to KHata koi nahin hai
ek jurm-e-wafa par hun gunahgar kisi ka
hain ek hi shishe mein bandhe shaiKH-o-barahman
tasbih kisi ki hai na zunnar kisi ka
hum denge use jaan bhi iman bhi 'safdar'
is mein to ijara nahin ai yar kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.