ab intishaar ki hasrat nahin KHarabe ko
ab intishār kī hasrat nahīñ ḳharābe ko
jo aa rahe ho to aao ye ghar basāne ko
tirā vajūd mirī zaat ke liye kyā hai
ḳhudā kā aasrā jaise kisī abhāge ko
zamāne bhar ke masā.il meñ aise uljhe haiñ
hamāre haal kā kuchh ġham nahīñ hamāre ko
ḳhat us ko likhte agar ḳhat meñ us ko kyā likhte
ravāna ham ne tahī kar diyā lifāfe ko
ga.ī rutoñ meñ ka.ī phuul aa.e the un par
ab ek barg nahīñ hai badan chhupāne ko
maiñ khul ke kar nahīñ saktā thā apnā dukh zāhir
koī samajh bhī na paayā mire ishāre ko
har ik ke bas kā kahāñ hai sameTnā vahshat
junūñ na jaan faqat ḳhaak ke uḌāne ko
ab intishaar ki hasrat nahin KHarabe ko
jo aa rahe ho to aao ye ghar basane ko
tera wajud meri zat ke liye kya hai
KHuda ka aasra jaise kisi abhage ko
zamane bhar ke masail mein aise uljhe hain
hamare haal ka kuchh gham nahin hamare ko
KHat us ko likhte agar KHat mein us ko kya likhte
rawana hum ne tahi kar diya lifafe ko
gai ruton mein kai phul aae the un par
ab ek barg nahin hai badan chhupane ko
main khul ke kar nahin sakta tha apna dukh zahir
koi samajh bhi na paya mere ishaare ko
har ek ke bas ka kahan hai sameTna wahshat
junun na jaan faqat KHak ke uDane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.