ab is aah-o-fughan se ai dil-e-nakaam kya hoga
ab is āh-o-fuġhāñ se ai dil-e-nākām kyā hogā
ye pahle sochnā thā ishq kā anjām kyā hogā
bajā.e dil nazar aatā hai ik sho.ala sā pahlū meñ
ye āġhāz-e-mohabbat hai to phir anjām kyā hogā
hujūm-e-ġham se ghabrā kar maiñ apnī jaan to de duuñ
magar terā batā ai gardish-e-ayyām kyā hogā
ḳhudāyā aaj mere zabt-e-ġham kī laaj rah jaa.e
sahar hī jab qayāmat hai to phir tā-shām kyā hogā
'ziyā' ye daūr-e-āzādī sunahrā hī sahī lekin
hameñ ma.alūm hai is daur kā anjām kyā hogā
ab is aah-o-fughan se ai dil-e-nakaam kya hoga
ye pahle sochna tha ishq ka anjam kya hoga
bajae dil nazar aata hai ek shoala sa pahlu mein
ye aaghaz-e-mohabbat hai to phir anjam kya hoga
hujum-e-gham se ghabra kar main apni jaan to de dun
magar tera bata ai gardish-e-ayyam kya hoga
KHudaya aaj mere zabt-e-gham ki laj rah jae
sahar hi jab qayamat hai to phir ta-sham kya hoga
'ziya' ye daur-e-azadi sunahra hi sahi lekin
hamein malum hai is daur ka anjam kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.