ab is aalam mein takmil-e-mazaq-e-justuju hogi
ab is 'ālam meñ takmīl-e-mazāq-e-justujū hogī
jahāñ har gaam par un kī hī sūrat hū-bahū hogī
hameñ nazr-e-sitam kar de jo tark-e-ārzū chāhe
na ham hoñge na dil hogā na terī aarzū hogī
nahīñ kuchh ehtiyāj-e-lab-kushā.ī rū-barū un ke
mileñgī un se nazreñ aur bāham guftugū hogī
chaman meñ fasl-e-gul itnī kahāñ pur-kaif hotī hai
yaqīnan un kī rā'nā.ī sharīk-e-rang-o-bū hogī
nigāh-e-mast-e-sāqī jab uThegī bazm-e-rindāñ se
na jaane kyā 'hazīñ' kaifiyyat-e-jām-o-subū hogī
ab is 'alam mein takmil-e-mazaq-e-justuju hogi
jahan har gam par un ki hi surat hu-bahu hogi
hamein nazr-e-sitam kar de jo tark-e-arzu chahe
na hum honge na dil hoga na teri aarzu hogi
nahin kuchh ehtiyaj-e-lab-kushai ru-baru un ke
milengi un se nazren aur baham guftugu hogi
chaman mein fasl-e-gul itni kahan pur-kaif hoti hai
yaqinan un ki ra'nai sharik-e-rang-o-bu hogi
nigah-e-mast-e-saqi jab uThegi bazm-e-rindan se
na jaane kya 'hazin' kaifiyyat-e-jam-o-subu hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.