ab is ke siwa aur na kuchh kaam karenge
ab is ke sivā aur na kuchh kaam kareñge
jab ishq na kar pā.eñge ārām kareñge
ham bazm se uTh kar tirī ye soch rahe haiñ
din kaise guzāreñge kahāñ shaam kareñge
dil kar diyā un māh-jabīnoñ ke havāle
ab jaañ bhī unhī logoñ ko in.aam kareñge
jab un se mirā koī ta'alluq hī nahīñ hai
kyoñ log mujhe muft meñ badnām kareñge
ab tak to hameñ pīr-e-muġhāñ dekh rahe the
ab shaiḳh hameñ dāḳhil-e-islām kareñge
ab is ke siwa aur na kuchh kaam karenge
jab ishq na kar paenge aaram karenge
hum bazm se uTh kar teri ye soch rahe hain
din kaise guzarenge kahan sham karenge
dil kar diya un mah-jabinon ke hawale
ab jaan bhi unhi logon ko inam karenge
jab un se mera koi ta'alluq hi nahin hai
kyon log mujhe muft mein badnam karenge
ab tak to hamein pir-e-mughan dekh rahe the
ab shaiKH hamein daKHil-e-islam karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.