ab is maqam par ho ana ka jawaz kya
ab is maqām par ho anā kā javāz kyā
faanī vajūd hai to baqā kā javāz kyā
mere sabhī charāġh to pahle hī bujh chuke
ai āñdhiyo tumhārī havā kā javāz kyā
andhoñ ke is hujūm pe kyā raushnī khule
jab qadr hī nahīñ to ziyā kā javāz kyā
pahchān hī nahīñ hai to dastak hai rā.egāñ
kab kaun kyoñ ke baad sadā kā javāz kyā
vahshat meñ kaT rahī hai mirī zindagī 'razā'
marne ke baad terī shifā kā javāz kyā
ab is maqam par ho ana ka jawaz kya
fani wajud hai to baqa ka jawaz kya
mere sabhi charagh to pahle hi bujh chuke
ai aandhiyo tumhaari hawa ka jawaz kya
andhon ke is hujum pe kya raushni khule
jab qadr hi nahin to ziya ka jawaz kya
pahchan hi nahin hai to dastak hai raegan
kab kaun kyon ke baad sada ka jawaz kya
wahshat mein kaT rahi hai meri zindagi 'raza'
marne ke baad teri shifa ka jawaz kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.