ab is qadar bhi badal jaega KHabar nahin thi
ab is qadar bhī badal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
fanā se duur nikal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
mire badan kī harārat utārne vaalā
mirī tapish se pighal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
vo ibtidā-e-mohabbat ke pahle lamhe ko
banā ke āḳhirī pal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
baḌhegī luqma-e-dil se bhī aage us kī havas
ye nafs tan ko nigal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
gilā thā ātish-e-nok-e-qalam se kāġhaz ko
magar siyāhī se jal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
samajh rahe the jise naqsh-bar-sarāb kabhī
vo mauj ban ke uchhal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
bahut thā sāya-e-abr-e-ġhubār-e-dasht magar
zarā sī der meñ Dhal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
ye sañg-e-ḳhvāb 'shafaq' aañkh ke pasīne par
kisī bhī vaqt phisal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
ab is qadar bhi badal jaega KHabar nahin thi
fana se dur nikal jaega KHabar nahin thi
mere badan ki hararat utarne wala
meri tapish se pighal jaega KHabar nahin thi
wo ibtida-e-mohabbat ke pahle lamhe ko
bana ke aaKHiri pal jaega KHabar nahin thi
baDhegi luqma-e-dil se bhi aage us ki hawas
ye nafs tan ko nigal jaega KHabar nahin thi
gila tha aatish-e-nok-e-qalam se kaghaz ko
magar siyahi se jal jaega KHabar nahin thi
samajh rahe the jise naqsh-bar-sarab kabhi
wo mauj ban ke uchhal jaega KHabar nahin thi
bahut tha saya-e-abr-e-ghubar-e-dasht magar
zara si der mein Dhal jaega KHabar nahin thi
ye sang-e-KHwab 'shafaq' aankh ke pasine par
kisi bhi waqt phisal jaega KHabar nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.