ab is qadar bhi to be-abru na samjha jae
ab is qadar bhī to be-ābrū na samjhā jaa.e
ki aarzū ko mirī aarzū na samjhā jaa.e
tumhārī yaad kā har zaḳhm ristā rahtā hai
maiñ bā-vuzū huuñ magar bā-vazū na samjhā jaa.e
maiñ apne aap se ḳhalvat meñ baat kartā huuñ
ise maraz ai mere chāra-jū na samjhā jaa.e
vo apnā aks agar mujh meñ dekh hī na sake
to aa.ine ko mire rū-ba-rū na samjhā jaa.e
maiñ sirf suntā huuñ aur sirf boltā vo hai
ise ḳhudā ke liye guftugū na samjhā jaa.e
ye ek roz koī inqalāb lā.egā
mirā lahū hai use bas lahū na samjhā jaa.e
bhaTak rahā hai agar dil namāz meñ to miyāñ
jo qibla-rū hai use qibla-rū na samjhā jaa.e
ab is qadar bhi to be-abru na samjha jae
ki aarzu ko meri aarzu na samjha jae
tumhaari yaad ka har zaKHm rista rahta hai
main ba-wuzu hun magar ba-wazu na samjha jae
main apne aap se KHalwat mein baat karta hun
ise maraz ai mere chaara-ju na samjha jae
wo apna aks agar mujh mein dekh hi na sake
to aaine ko mere ru-ba-ru na samjha jae
main sirf sunta hun aur sirf bolta wo hai
ise KHuda ke liye guftugu na samjha jae
ye ek roz koi inqalab laega
mera lahu hai use bas lahu na samjha jae
bhaTak raha hai agar dil namaz mein to miyan
jo qibla-ru hai use qibla-ru na samjha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.