ab is se aur ibarat nahin koi sadi
ab is se aur ibarat nahin koi sadi
Syed Tamjeed Haider Tamjeed
MORE BYSyed Tamjeed Haider Tamjeed
ab is se aur ibārat nahīñ koī saadī
ki merā ḳhaas hunar bhī rahā ḳhudā-dādī
ḳhudā kī yaad hai ḳhalvat meñ is liye behtar
ki ḳhud ko jānegā tanhā.iyoñ meñ fariyādī
tum us ke bande bano vo ki jo dikhā.ī na de
isī meñ pinhāñ hai insān ramz-e-āzādī
vo jaane vaale hoñ hāzir ki aane vaale hoñ
sab ek ḳhat meñ khaḌe haiñ ba-qaid-e-aba.adī
batā sharāfat-e-duniyā batā ki khul jaa.e
karegā kab talak is dil meñ ḳhāna-dāmādī
ye vahm fahm-e-haqīqat nahīñ haqīqat hai
ki bas haqīqat-e-duniyā hai giryā-e-shādī
ye sharq-o-ġharb ke ūñche pahāḌ ḳhāmī haiñ
haqīqatan mujhe hāsil hai jism-e-faulādī
huā na koī mirī ḳhū se ḳhātir-āshufta
mirā vajūd hai misdāq-e-ḳhāna-ābādī
ruke thame na yahīñ tak nayā safar 'tamjīd'
dikhā.e kilk-e-suḳhan aage aur ustādī
ab is se aur ibarat nahin koi sadi
ki mera KHas hunar bhi raha KHuda-dadi
KHuda ki yaad hai KHalwat mein is liye behtar
ki KHud ko jaanega tanhaiyon mein fariyaadi
tum us ke bande bano wo ki jo dikhai na de
isi mein pinhan hai insan ramz-e-azadi
wo jaane wale hon hazir ki aane wale hon
sab ek KHat mein khaDe hain ba-qaid-e-abaadi
bata sharafat-e-duniya bata ki khul jae
karega kab talak is dil mein KHana-damadi
ye wahm fahm-e-haqiqat nahin haqiqat hai
ki bas haqiqat-e-duniya hai girya-e-shadi
ye sharq-o-gharb ke unche pahaD KHami hain
haqiqatan mujhe hasil hai jism-e-fauladi
hua na koi meri KHu se KHatir-ashufta
mera wajud hai misdaq-e-KHana-abaadi
ruke thame na yahin tak naya safar 'tamjid'
dikhae kilk-e-suKHan aage aur ustadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.