ab is se baDh ke mujhe aur kya saza dega
ab is se baDh ke mujhe aur kya saza dega
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
ab is se baḌh ke mujhe aur kyā sazā degā
vo ban ke dost mirā mujh ko hī daġhā degā
mirī nishānī vo rakkhegā apne paas magar
hasīñ gulāb ko aurāq meñ dabā degā
taḌaptā dekh ke mujh ko vo ḳhush to hogā bahut
maiñ DhūñD pā.ūñ na us ko pata chhupā degā
hamāre hisse kā ik phuul bhī na degā vo
hamārī raah meñ kāñTe magar bichhā degā
'majīd' us se mohabbat kī hai umiid fuzūl
dikhā ke jaam faqat tishnagī baḌhā degā
ab is se baDh ke mujhe aur kya saza dega
wo ban ke dost mera mujh ko hi dagha dega
meri nishani wo rakkhega apne pas magar
hasin gulab ko auraq mein daba dega
taDapta dekh ke mujh ko wo KHush to hoga bahut
main DhunD paun na us ko pata chhupa dega
hamare hisse ka ek phul bhi na dega wo
hamari rah mein kanTe magar bichha dega
'majid' us se mohabbat ki hai umid fuzul
dikha ke jam faqat tishnagi baDha dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.