ab is se baDh ke mujhe aur kya suhulat ho
ab is se baḌh ke mujhe aur kyā suhūlat ho
maiñ tujh ko yaad karūñ saañs kī bhī fursat ho
fazā meñ sirf tire qahqahe raheñ baaqī
aur is zamīn pe terī talab salāmat ho
tumhāre naam pe jhagḌā ho aur is ke ba.ad
ho aisī jañg ki jis meñ mirī halākat ho
tire visāl ke lamhe bikhar ga.e mujh se
ḳhudā kare ki tire hijr kī hifāzat ho
maiñ chāhtā huuñ koī rāsta sujhā.ī de
maiñ chāhtā huuñ mujhe dūsrī mohabbat ho
lage hue haiñ samā.at kī chāplūsī meñ
koī to ho ki jise bolne kī hājat ho
maiñ roz kartā huuñ 'sāhir' na.ī adākārī
bhulā na duuñ jo use bhūlne kī niyyat ho
ab is se baDh ke mujhe aur kya suhulat ho
main tujh ko yaad karun sans ki bhi fursat ho
faza mein sirf tere qahqahe rahen baqi
aur is zamin pe teri talab salamat ho
tumhaare nam pe jhagDa ho aur is ke baad
ho aisi jang ki jis mein meri halakat ho
tere visal ke lamhe bikhar gae mujh se
KHuda kare ki tere hijr ki hifazat ho
main chahta hun koi rasta sujhai de
main chahta hun mujhe dusri mohabbat ho
lage hue hain samaat ki chaplusi mein
koi to ho ki jise bolne ki hajat ho
main roz karta hun 'sahir' nai adakari
bhula na dun jo use bhulne ki niyyat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.