ab jam hamara hai dil-aram hamara
ab jaam hamārā hai dil-ārām hamārā
muñh dekhtī hai gardish-e-ayyām hamārā
hasrat-zada-e-shauq hai ummīd hamārī
mahrūm-e-tamannā dil-e-nākām hamārā
ham to haiñ kahīñ jalva-gāh-e-nāz kahīñ aur
ik manzil-e-dushvār hai har-gām hamārā
ham aur shabistān-e-adū muft kī tohmat
kahte haiñ ki hogā koī hamnām hamārā
mahshar meñ hue jab ḳhat-e-a.amāl ke TukḌe
un shoḳh hasīnoñ meñ bikā naam hamārā
sāġhar jo liyā haath meñ aañsū nikal aa.e
rindoñ kī zabānoñ pe rahā naam hamārā
kyā qahr thī yā-rab nigah-e-nāz kī shoḳhī
chuTkī meñ uḌā le ga.ī ārām hamārā
'nāzish' koī jī chhoḌ gayā shauq-e-sitam se
rusvā.ī-e-ulfat meñ huā naam hamārā
ab jam hamara hai dil-aram hamara
munh dekhti hai gardish-e-ayyam hamara
hasrat-zada-e-shauq hai ummid hamari
mahrum-e-tamanna dil-e-nakaam hamara
hum to hain kahin jalwa-gah-e-naz kahin aur
ek manzil-e-dushwar hai har-gam hamara
hum aur shabistan-e-adu muft ki tohmat
kahte hain ki hoga koi hamnam hamara
mahshar mein hue jab KHat-e-amal ke TukDe
un shoKH hasinon mein bika nam hamara
saghar jo liya hath mein aansu nikal aae
rindon ki zabanon pe raha nam hamara
kya qahr thi ya-rab nigah-e-naz ki shoKHi
chuTki mein uDa le gai aaram hamara
'nazish' koi ji chhoD gaya shauq-e-sitam se
ruswai-e-ulfat mein hua nam hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.