ab jo dena hai mere dost mohabbat dena
ab jo denā hai mire dost mohabbat denā
yuuñ bhī achchhā nahīñ hotā hai aziyyat denā
ab tirī baat koī mujh ko bhalī lagtī nahīñ
chhoḌtā kyoñ nahīñ tū yaar nasīhat denā
gar mujhe denā ho idrāk-e-taġhazzul kā nisāb
mere maulā mujhe sau saal kī ḳhalvat denā
maiñ tire lutf-o-‘ināyāt kā haamī to nahīñ
ho sake to mujhe jaane kī ijāzat denā
rasm-e-dīvāngī kī ek adā ye bhī hai
zaḳhm-e-tāza ko na bharne kī suhūlat denā
ab koī aur na yūsuf bane farzand-e-chāh
banī-yā'qūb ko thoḌī sī muravvat denā
'ishq vo qaid-e-masarrat hai ki har lamha 'ayāz'
dil ye kahtā hai ye zanjīr haTā mat denā
ab jo dena hai mere dost mohabbat dena
yun bhi achchha nahin hota hai aziyyat dena
ab teri baat koi mujh ko bhali lagti nahin
chhoDta kyon nahin tu yar nasihat dena
gar mujhe dena ho idrak-e-taghazzul ka nisab
mere maula mujhe sau sal ki KHalwat dena
main tere lutf-o-‘inayat ka hami to nahin
ho sake to mujhe jaane ki ijazat dena
rasm-e-diwangi ki ek ada ye bhi hai
zaKHm-e-taza ko na bharne ki suhulat dena
ab koi aur na yusuf bane farzand-e-chah
bani-ya'qub ko thoDi si murawwat dena
'ishq wo qaid-e-masarrat hai ki har lamha 'ayaz'
dil ye kahta hai ye zanjir haTa mat dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.